jis mitte se ubhar raha hu,
Us mitte ke ghav he saare,
Kuch mujh par kuch tum par bhi.
Is mitti ke bol he saare,
Rang alag he jab chitte udte he,
Kuch tum par kuch mujh par bhi.
Jo mitti ke liye hue shahid,
Is mitti me hi ghul gaye saare,
Par bojh he saara…
Kuch mujh par kuch tum par bhi.
isi mitti se ghar banaye unhone,
ghar tode bhi isi mitti se,
pathar jab feke jinhone…
kuch tum par kuch mujh par bhi.
kab tak sahenge is mitti ka jakham,
agar isi me dabke mar jana he,
uchalo is mitti ko un aankho ki taraf,
jo fekte he gole hamare hi mitti ke..
kuch tum par kuch mujh par bhi.
is mitti me he who takad,
is mitti se hi hum bane he,
tufan yu banao is mitti ka,
fakr ho isi mitti ko…
kuch mujh par kuch tum par bhi.